Saturday, December 25, 2010

[Hindi_Jokes] Zindgi Ki Kitab Ke Kuch Panne Hote Hai

 

Zindgi Ki Kitab Ke Kuch Panne Hote Hai

Kuch Apne Kuch Begane Hote Hain.

Pyar Se Savwar Jati Hai Zindgi,

Bas Pyar Se Rishte Nibbne Hote Hai  !!

 

Tarasta Hai Dil Teri Aawaz Ke Liye

Tere Mohabbat Bhare Chand Alfaaz Ke Liye

Kardo Humein Fannaa Aapni Is Ada Se

Tarrapte Hai Hum Teri Is Saza Ke Liye !!

 

Mana Ke Aaj Hum Akele Reh Gaye,

Judai Ke Aanshu Ankhon Se Bah Gaye,

Rote Huwe Ko Kon Chup Karayega,

Jo Chup Karate The Woh Hi Rone Ko Keh Gaye !!

 

Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai,

Par Zindagi Kisi Ki Mehbooba Nahi Banti,

Tamanna Lekar Jeete Hain Log,

Magar Har Tamanna Taqdeer Nahi Banti !!

 

Ishq Kar Ke Uska Intezar Paya Hai,

Tanhayi Me Bhi Har Taraf Use Hi Paya Hai,

Mil Jaye Khuda To Puchenge,

Kyun Tune Sirf Hume Hi Aazmaya Hai !!

 

Har Nami Me Kuch Kami To Rahegi,

Ankhe Thodi Shabnami To Rahegi,

Zindagi Ko Aap Kitna Bhi. Saawariye,

Bin Hamare Koi Na Koi Kami To Rahegi  !!

 

Raho Me Dekha Divaro Ki Tarah,

Khvabo Me Dekha Ujalo Ki Tarah,

Dil To Kya Ham Ruh Me Sama Jate Magar,

Aaj Tak Kisi Ne Chaha Hi Nahi Chah Ne Valo Ki Tarah !!

 

 Nashili Aankhon Se Wo Jab Hame Dekhte Hai

Hum Ghabraakar Aankhen Jhuka Lete Hai

Kaun Milaaye Uski Aakho Se Aankhe Suna Hai

Wo Aankhon Se Apna Bana Leti Hain !!

 

Khamosh Pyaar Ka Ehsash Hai Aap

Meri Khawaish Mere Jajbat Hai Aap

Aksar Ye Khayal Kyu Aata Hai

Dilme Meri Pehali Khoj Or Akhari Talash Hai Aap !!

 

Apni Zindgi Me Hame Sharik Samajhna.

Koi Gam Aaye To Karib Samjhna,

De Denge Muskrahat Aansu Ke Badle

Magar Hazaro Me Hame Thora Aziz Samjhna  !!

 

Humse Door Hokar Bhi Hamare Pas Ho Tum.

Is Soni Zindgi Ki Talash Ho Tum

Kaun Kehta Hai Ki Tum Sath Nahi

Sanso Ki Tarha Dil Ke Pass Ho Tum !!

 

Yeh Baat Galat Hai Ke Hume Aapse Mohabbat Nahi ,

Haa Yeh Baat Alag Hai Ke Hume Mohabbat Jatane Ki Aadat Nahi  !!

 

Love & Smile

Pravesh Singh


__._,_.___
Recent Activity:
Visit our Funny Pictures Website
http://www.funnypicturesjoke.com
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment