Aap ki nazr-e-inAayat kai qaabil nahi thee
iss qadar mai qarabat kai qaabil nahi thee
Unhon ney uttha ker falak per bithaaya
mai aesi bhi chahat kai qaabil nahi thee
Naa thi dil ko merey sukoon sai rasaaii
mai unki mohabbat kai qaabil nahi thee
Ada aeysee kiya thi, kai dunya l'uta dee
mai itni sakhawat kai qaabil nahi thee
Bana ker mujhey devi uss nai ki pooja
Sanam iss ibaadat kai, mai qaabil nahi thee
Meri maang uss nai chaand taaron sai bher di
mai iss chaah o ulfat kai, qaabil nahi thee
Aap they muntazir rah mai palkein bichaey
sach hai mai iss mahoorat kai qaabil nahi thee
Jo jannat milee ab tou, rotaa hai yeh dil!
Mah, itni inayat kai, mai qaabil nahi thee
Hai Ebarat esee sai yai zindgaani hamaari
Meri aankh ka aansu bhi hai shrarat kisi ki
Change settings via the Web (Yahoo! ID required)
Change settings via email: Switch delivery to Daily Digest | Switch format to Traditional
Visit Your Group | Yahoo! Groups Terms of Use | Unsubscribe
__,_._,___
No comments:
Post a Comment