Muskurati aankhon me kya aanshu nahi hote, Dil todne walon ke bhi kya dil nahi hote. Tanha hi chalte the hum aur tanha hi rah gaye, Kya mahfil me bhi kabhi log tanha nahi hote. Jindagi gujar jati thi bahon me unki ese hi, Har sukh milta tha zulfon me jinki ese hi, Chhod gaye beech majhdhar me vo hame un hi, Kyon kinare pahunchane wale log nahi hote. Hamne to mohbbat ki thi hamesha unse, Jindagi sath bitane ke vaade kiye the jinse, Jab dukh milta hai kisi se bichhadane ka is tarah to, Kyon khuda bhi hamare sath nahi hote. Jab aanshu bahte the mere to, Un motiyon ko bhi saja ke rakhte the vo. Aaj to barsat ho rahi hai mere pas me, Lekin is bheed me na jane kahan kho gaye vo. Kyon tute dilon ko thamne wale log nahi hote. Muskurati aankhon me kya aanshu nahi hote. |
Your Mail works best with the New Yahoo Optimized IE8. Get it NOW!.
No comments:
Post a Comment